Apne Mobile Se Computer or Laptop Ko Kaise Control Kare Mouse Ki Tarh. Apne Mobile Ko Mouse Banye. Step By Step Hindi Me.
Hello Dosto, Main Sushil Kr. Yadav Aap Sabhi Ko Mere Blog "DailyNewThink.BlogSpot.com" Me Bahut Bahut Swagat Karta Hu. Dosto Aaj Ke Es Article Me Haam Baat Karenge Ki Apne Android Mobile Phone Ko Mouse Kaise Banaye. TO Dosto Aap Bhi Apna Mobile Phone Ko Apne Computer Ya Laptop Ke Liye Mouse Banana Chahte Ho To Es Article Ko Pura Padhye. Or Jaaniye Mobile Ko Mouse Ki Tarh Kaise Use Kare.
Dosto Jab Hum Computer Ya Laptop Use Karte Rehte Hai To Kai Baar Hamre Mouse Kaam Karna Band Kardeta Hai. Yaa Feer kharab Ho Jata Hai To Kai Baar Hote hi Nahi Hai To Kai Baar Kahi Jate Bakt Aone Saath Leke Jaane Me Bojh Lagti Hai. To Doato Yese problem Aapko Bhi Hai Or Aap Bhi Chahte Hai Ki Apne Mobile Se Hi Apne Computer Or Laptop Ka Control Karu To Hamre Saath Bane Rahiye Main Aapko Es Aartical Me Step By Step Bataunga Ki Kaise Apne Mobile Phone Ko Mouse Jaise Use Karte Hai. To Dosto Ab Aapka Jada Smay Na Lete Huye Sidha Topic Pe Leke Chalta Hu..
Step 1. Dosto Eske Liye aapko Sabse Pahle Apne Mobile Phone Me Ek Application Install Karna Hoga. Ji H Dosto, Remote Mouse Naam Ka ek Apps Hai, Jise Aapko Apne Android Mobile Me install Karna Hoga Tabhi Jaake Aap Apne Mobile Phone Ko Mouse Me Change Kar Sakte Hai. Yaani Apne Mobile Phone Se Computer Ya Laptop Ko Control Kar Sakte Ho.
STEP 2. Eske Liye Aapko Jada Kuch Nahi Karna Hai, Bas Aapko Apne Mobile Phone Ke Play store Me Jaake Remotemouse Naam Ka Apps Apne Mobile Phone Me Install Karna Hai.
STEP 3. Apps Install Karne Ke Baad www.remotemouse.net Par Jaay or Apne Laptop/make/Desktop Par Remote Mouse Software install Kar Lijiye.
Step 4. Apne Mobile Or Laptop Ko Ek Hi Wi-Fi Se Connect Kar Lijiye.
Step 5. Ab Aap Apne Mobile Phone Ka Aaps Se Apne Laptop Ka Screen Ka Scan Kar Lijiye. Uske baad Apne Mobile Ko LapTop Se Connect Kar Lijiye.
Dosto Ab Aap Apne Mobile Phone Se Apne Computer Ya Laptop Ko easily Control Kar Sakte Ho. Ab Aap Ka Mobile Ek Mouse Ki Tarh Kam Karne Lagega. Dosto Es Remote Mouse Apps Ka Eske Alawa Yese Kai Saare futures Hai. Es Aaps Ke Jariye Apne Phone Ko Mouse Me Hi Nahi Balki Ese Tach Paid Ya Keybord Me Bhi Change Kar Sakte Hai. Eske Aalawa Apne phone ki Tarh Use Karte Huye computer ya Laptop par Video Ko Bhi Play, Push, reward, forward Bhi Kar Sakte Hai. Eske Liye Aapko
www.remotemouse.net Par Jaa Kar Aapko es App Ko Apne Android Ya Ios Device Ke Liye Download Kar Sarna Hoga.
TO Dasto Es Tarh Se Aap Apne Mobile Phone Ko Ek Mouse Ki Tarh Use Kar Sakte Ho.
Dosto, Umid Karta Hu Ye Article Aapko Pasnd Aaye Honge es Article Se Related KoI Bhi Salah Sujhaw Dena Chahte Ho Yaa Feer Apne Mobile Se Computer Ya Laptop Se Connect Karne Me Koi Dikat Ya problem Horhi Hai To Plz Niche Comment Box Me Jaake Hume Comment Jarur Kare. Hum Aapko Saare Sawal aur Problem Ka Solution Dene ki 100% Kosis karunga. Es Blog Ka POST Achha Lag Rahai Hai To Plz Es Site follow Kar dijiye. To Dosto Esi Tarh Hamare Blog DailyNewThink.Blogspot.Com Par Aate Rahiye. Hamesa Aapko Kuch Naya Jaane Ko Milega Aur Bhi Topic Ke Baare Me Jankari Lene Ke Liye Hamre Menu Baar Ek Baar Jarur Check Kare. Ho Sakta Hai Koi Topic Aapke Kaam ka Ho. To Dosto AajKe Liye Itna Hi Feer Se Milte Hai Agle Topic Pe Tab Tak Ke Liye Bye.😀
💖 Thank You So Much 💖
Author:- सुSHiल
Thank You ConversionConversion EmoticonEmoticon