Twitter Kya Hai? Twitter id Kaise Banaye? HOW To Create Twitter Account? Step By Step Full Guide Hindi Me.

Twitter Kya Hai? Twitter Account Kaise Banaye? Twitter id Kaise Banaye? HOW To Create Twitter Account? Step By Step Full Guide Hindi Me.

Hello Dosto, Main Sushil Kr. Yadav Aap Sabhi Ko Mere Blog "DailyNewThink.Blogspot.Com" Me Bahut Bahut Swagat Hu. Dosto Aaj Ke Es Article Me Hum Baat Kaenge Twitter Ke baare Me, Twitter Kya Hai Aur Twitter Account Kaise Banate Hai. Twitter Se Related Aur Bhi Bahut Saare Topic Baare Me Baat Karne Bala Hu So Aap Sab Bhi Janna Chahate Hai Twitter Kya Hai Aur Twitter Account Kaise Banate Hai To Es Post ko Suru Se Lekar Aakhir Tak Jarur Padhiye.


Dosto, Aap Sabne Twitter Kaa Naam To Bahut Suna Hoga. Par kya Aap Jante Hai Twitter Kya Hai, Twitter Ko Kisne aur Kab Banaya Tha. or Tweets Kya Hota Hai Or Twitter Par Account Kaise Banate Hai. Dosto Agar Aap Nahi Jante Hai To Koi Baat Nahi Main es Post Me Aaj Aap Sabko Twitter Ki Puri Jaankari Dene Bala Hu.


Dosto Aage Badhne Se Pahle Hum Sabse Pahle Ye Jaan Lete Hai Ki Aakhir Twittrer Kya Hai.

Q1. Twitter Kya Hai? { What is Twitter}

Dosto, Facebook, Instagram Aur Google Ki Tarh Hi Twitter Bhi Bahut Zyada Famous Online Social Networking Platform Hai. Jo ki Word Ki Sabse Badi Companyo Me Se, Ye Bhi Ek Hai. Twitter Par Kam Se Kam 335 Million User Active Rahte Hai. ese Aap Anuman Laga Sakte Hai Ki Ye Kitne Badi company Hogi.

Dosto, World ki Har Famous Aur Celebrity Se Lekar Aam Aadmi Tak Ka Har Begti Twitter Ka Use Karta Hai. Pahle Zyada Tar Twitter Par actors, cricketors, political, Business Man etc. Ka Hi Account Hota Tha. Par Haal Me Yese Bahut Saare Aam Aadmi Bhi Twitter Par Account Banana Suru Kar Diya Hai. Aur Apne Man Pasndiya actors, Cricketrs Yaa Feer Apne Friends, Family Ko Follow Karte Hai. Celebrity Bhi Apne Fan Tak Twitter Ke Jariye Apna Vichar share Karte Rehte Hai.

Q2. Twitter Ko Kisne Or Kab Banaya?

Dosto Twitter Ko Banane Baala Ek Aadmi Nahi Balki 4 Aadmi Hai. Un Sab Mahan Begti Ka Naam Hai.

* Founder of Twitter :-

- Jack Dorsey

- Noah Glass

- Biz Stone

- Evan Williams

* Launch:- 15 July 2006

* Headquarter:- San Francisco, California, United States

* Industry:- Internet

* Employees:- 3,372

* Net Income:- 108.06 million US$ (2017)

* Total Assets:- 7.41 billion US$ (2017)

* Users:- 335 Million Active Users



Q. 3. Tweets Kise Kahte:-

Dosto Twitter Ek Yesa Platform Hai Jees Par Aap Apna Account Bana Kar Apne Dosto Ke Sath Apna Vichar Share Kar Sakte Hai. Twitter Par Ek Saath Aaneki Ek Baar me 280 Word ka Message Hi Share Kar Sakte Hai. Pahle 140 Word Ka Hi Tha Par Abhi Ese Padha Kar 280 Word Kar Diye Hai. Dosto Aap Jo Twitter Par Massage Share Karte Hai Usse Twitter Ke Bhasa Me Tweets Kahte Hai.

Es Par Aap Apne Man Pasndida Actors, Cricketors, Yaa Feer Koi Bhi Twitter Users Ka Follow Karke Unka Massage, Vichar Aaneki Unke Duwara Kiya Huwa Tweets Padh Sakte Hai Saath Hi Like, Comment & Share Bhi Kar Sakte Hai.

Dosto Twitter Par Aap Apne Blog, youtube Channel Ya Feer Koi Shop Business Ka Promote Bhi Feer Me Kar Sakte Hai.

Dosto Aasha Karta Hu Aapko Samjh Ya Gaya Hoga Ki Aakhir Twitter Kya Hota Hai. Agar Aap Bhi Twitter Par Account Banna Chahte Hai Aur Aapko Pata Nahi Hai Ki Twitter Account Kaise Banate Hai To Aaye Hum Aapko Batate Hai Ki Twitter Account Kaise Banate HaI. Step By Step

Q. 4 Twitter Par Account Kaise Banaye? {How To Create Twitter Account}

ans:- Dosto, Aapko Sabse Pahle Twitter Par New Account Banane Ke Liye Ek Email Id Ki Jarurt Padegi. Agar Aap Ke Pass Email Account Nahi HaI To Aap Apna Mobile Number Se Bhi SinUp Kar Sakte Hai. Dosto Agar Aap Email Id Se Twitter Account Banana Chahte Hai Par Aapke Pass Email Id Nahi Hai To Niche Ke Link Par Click Karke Aap Sikh Sakye Hai Email Account Kaise Banate Hai

Dosto, Agar Aap Niche Diye Gaye Step Ko Achhe Se Fllow Karte Hai To Agle 5 Minute Me Aap Apni Twitter Account Bana Sakte Hai. So Aap Sab Es Post Ko Puda Padhe Aur Har Step Ko Ache Se Follow Kare.

Step 1.
Dsoto Twitter Account Banane Ke Liye Sabse Pahle Aap Apne Mobile Me Crome Browser Ya Koi Aur Browser Open Kar Lijiye.

Step 2.
Browser Open Karne Ke Baad Search Bar Me ( www.twitter.com ) Type Karke Search Kar Lijiye.




Step 3.
Website Opne Hone Ke Baad Ab Aap Sign Up Par Click Kar Lijiye.

Aap Niche Screenshot Me Dekh Sakte Hai.



Step 4.
Ab Aapke Saamne Ek Form Open Hoga Us Form Me Aapko Apna Naam Or Mobile Number Type Karna Hai.



For Example:-

a. Full Name:- (Sushil Kumar Yadav)
Es Box Me Aapko Apna Pura Naam Daalna Hai. Aaneki aap Jis Naam Se Account Banana Chahte Hai O Naam Likhe

b. Phone Or Email:-( easymehod2018@gmail
com)

Es Box Me Aapko Apna Email Address Yaa Feer Mobile Number Daalna Hai.

c. DATE OF BIRTH:- Dosto es Me Aap Apna Janm ka Miti Daal Dijiye.

Upar picture me Dekh Sakte Hai.


Dosto Aapko Ek Baar Firse Apna details Achhe Se Check Kar Lena Hai Taaki Ko Galti Na Reh Jaaye. Check karne ke Baad Next Par Click kar Dijiye. Upar diye gaye Pic me Aap dekh Sakte Hai.


Step 5.

Dosto "Tailor Twitter based on my recent website visits" ke samne tick Option Par kare. Ab Aap Next Ke Button Par Click Kar Dijiye. Dosto Aapko “Customize Your Experience” Naam Ke Niche Kuch Option Dikhai Dega. Agar Aap Twitter Ki En Sabhi Subidha Ka Laabh Lena Chahte Hai To Use Select Karke Next Par Click Kar dijiye.



Step 6: Enter Verification Code:

Aapne Jo Email Yaa Free Mobile NumberDaale Hai Us Par Ek Verification Code Aaya Hoga. Ab Aapko Us Verification Code Ko Es Box Me Daalna Hai.
Box Me Dalne Ke Baad Next Par Click Kar Dena Hai.



Step 7. Enter Password:

Password: (Sky@12345)

(Es Box Me Aapko Ek Password Dalna Hai. Dosto Password Aisa Daale Jo Strong Ke Saath Sath Aapko Aad Bhi Rahe.)



Step 8. Select Profile Picture:

Dosto ab Aap ek Profile Ke Liye Picture Select Kar Lijiye Or Next Oar Click Kar Dijiye.




Step 9: Enter Bio

Ap Aap Short Me Apne Baare Me Kuch Type Kar Dijiye Or Next Par Click Kar Dijiye.


Step 10: What Are You Interest In:
Es Me Aap Apne Interest Ke Hisab Se Kuch Topic Ko Select Kar Lijiye. Aur Next Par Click Kar Dijiye.


Step 11. Follow Account
Yaha Par Aapko Kuch Twitter User Ka Id Show Hoga Aap Us Sab Me Se Kisi Ko Follow Karna Chahte Hai To Use Select Kar Lijiye Anetha Next Par Click Kar Dijiye.




CONGRATULATION!!! FRIENDS😃
App Successfully Twitter Account Bana Chuke Hai.

Friends, i Hope Ye Article Aapko Pasnd Aaya Hoga. es Article Se Related KoI Bhi Salah Sujhab Dena Chahte Hai Yaa Feer Twitter Account Banane Me Koi Problem Hai To Plz Niche Comment Box Me Jaake Hume Comment Jarur Kare. Hum Aapko Saare Sawal aur Problem Ka Solution Dene ki Puri Kosis karunga. To Dosto Esi Tarh Hamare Blog DailyNewThink.Blogspot.Com Par Aate Rahiye. Janakri Lete Rahiye. Aur Bhi Topic Ke Baare Me Jankari Lene Ke Liye Hamre Menu Baar Me Jaake Ek Baar Jarur Check Kare. Ho Sakta Hai Koi Topic Aapka Kaam ka Ho.
Dosto Ye Article Aapko Achha Laga Ho To Like, Comment Aur Share Karna Na Bhuliyega. To Dosto Feer se Milte hai Next Topic Pe Tab Tak Ke Liye Bye.

     💖  Thank You So Much  💖 


                  Author:- सुSHiल
         

         DailyNewThink.blogspot.com


               

Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
Unknown
admin
20 नवंबर 2020 को 10:08 pm बजे ×

very nice information bro

Congrats bro Unknown you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar

Thank You ConversionConversion EmoticonEmoticon