Facebook Ki Video Kaise Download Kare Mobile Gallery Me. Bina Koi Application Ke. (How To Download Facebook Video In Gallery) Full Guide Hindi Me
Hello Friends, Main Sushil Kr. Yadav Aap Sabhi Ko Mere Blog "DailyNewThink.BlogSpot.Com" Me Bahut Bahut Swagat Karta Hu. Dosto Aaj Ke Es Aarticle Me Ham Janenge Facebook Ka Video Kaise Download Karte Hai. Dosto Agar Aap Bhi Chahte Hai Facebook Ka Video Download Karna To Es Article Ko Suru Se Lekar Aakhir Tak Jarur Padhiye Main Es Article Me Step By Step Bataya Hu Ki Facebook Ka Video Kaise Download Karte Hai. Obhi Koi Dosra Application Download kiye Bina.
Dosto Facebook World Ki No.1 Networking Site Hai Ye Baat To Ham Sab Jante Hai. ES Par Har Seconds Laakho Picture Upload Hote Hi Hai Par Ab Facebook Par Har Seconds Lakho Video Bhi Upload Hote Hai.
Dosto Jab Ham Facebook Ki Video Dekhte Hai To Un Video Me Se Kuchh Video Hame Bahut Pasand Aajate Hai Feer Ham Sochte Hai ki Kaash Ye Video Hum Mobile Ke Gallery Me Save Kar Pate Yaa Download Kar Pate To Bahut Achha Hota Par Kaise Download Kare Pata Na Hone Ke Karan Us Video Ko Bhul Jana Padta Hai.
Dosto Facebook Me Video Download Karne ka koi bhi Official Method Nahi Hai, internet Par Kuch Application Available Hai. Jo Ki Video Download Karne Ka Service Dete Hai. Magar Main Es Article Me Bina Koi Application Use Kiye Bina Video Download Karne Ka Tarika Bata Raha Hu.Dosto Es Article Me Main 100% Working solution Leke Aagaya Hu Aap Sab Bataye Gaye Step Ko Achha Se follow kare. Es Step Ko Follow Karke Mobile, Laptop Or Computer Se Bhi Video Download Kar Sakte Hai.
Q1. Facebook ka Video kaise Download Kare ( How To Download Facebook Video)
Dosto Main Feer Se Bata Raha Hu Niche Batayi Step Ko Achhe se Padh ke Follow kare Tabhi Aapko samaj me Aayega ki video Download Kaise Kiya Ja Sakta Hai.
Step1. Dosto Aap Sabse Pahle Apne Mobile Me Facebook App Yaa Feer Lite Facebook Application Install Kar Lijiye.
Step 2. Dosto Ab Aap Apna Facebook Email address Or Password Dal Kar Login Hojaye.
Step 3. Login hone Ke Baad Right Side ke Corner Me Three Line Aaneki Menu Par Click Kar Lijiye. Aap Niche Screenshort Me Dekh Sakte Hai.
Step 3. Dosto Login Hone Ke Baad Video Bale Option Par Click Kar Lijiye. Niche Diye Screenshot Ka Help Le Sakte Hai.
Step 4. Dosto Ab Jo Video Download Karna Chahte Hai Us Video Par Click Kar Lijiye. Video Par Click Karne ke Baad Video Ke Right Side ke Upar Corner Me Three Dot Ka Option Par Click Kar Ljiye. Three Dot Par Click Karne Ke Baad Niche Copy Link Ka Option Lar Click Karke Video Ka URL LINK Copy Kar Lijiye.
Step 7.
Dosto Video Ka URL Link Copy Karne Ke Baad Aap Koi Bhi Uc Browse Yaa Feer Crome Browser Open Kar Lijiye. or Search Baar Me Savefrom.Net Type Kar Ke Search Kar Lijiye.
Step 8.
Search Karne Ke Baad Aapko Aapke Saamne Ek Box Aayega "Enter Url" Karke Aapko Apna Video Ka Url Link Us Box Me Pest Kardena Hai Or arrow Par Click Kardena Hai.
Step 9. Dosto Aap Jaise Hi arrow Par Click Karte Hai Aapke Saamne Download Ka Option Aajayega. Aap Jaise Hi Download Ka Option Par Click Karte Hai Aapka Video Download Hona Suru Hojayega. Dosto Ho Sakta First Click Me Adz Aajaye Aap Back Karke Dobar Download Par Click Karna Hai. Aap Niche Screenshort Me Dekh Sakte Hai.
Congratulations.!!! Dosto Aap Sikh Gaye Hai Ki Facebook Ki Video Kaise Download karte Hai Doato Agar Video Download Karne Me Koi Problem Aarahai To Aap Comment Kar Sakte Hai, Aapki Puri Madad Kardi Jayegi.
Dosto Aapko Ye Dekhne Me Bahut Lamba Process Lag Raha Joga Par Ye Bahut Hi Ashan or Easy Hai. Main Bhi Esi Trick Ka Use Karke Video Download Karta Hu.
I Hope Ye Article Aapko Pasand Aaya Hoga. Dosto Ye Article Aapko Sach Me Pasnd Aaya Hai To Plz Share Or follow Jarur Kar Dijiyega.
💖 Thank You So Much 💖
Author:- सुSHiल
Thank You ConversionConversion EmoticonEmoticon